'" mera pani utarte dekh kinare par ghar mut bana lena,main samundar hu,laut kar jarur aaunga"
kal maine ye lines news paper main padi jo ki Amit shah jo ki centre main Home minister hain us time kahi thi jub congress govt main vo ek case se bahar nikal kar aye the and us time P.Chidambaram Home minsiter the ,ab jaisa aapko pata Hi hain ki ab P Chidambaram C.B.I custody main hain and usi buiding main laye gaye jiska unhone minister rahte hue inauguration kiya tha
aap sab soch rhae honge main aaj shayad poilitics se related kuch likh rahi hu ,to nahi aisa kuch nahi hain main aapko dhyan dilana chahti hu ki yaha Amit shah ne jo' main' ka use kiya hain vaha unka matlab khud se nahi bulki time se ,samay se hain.
ji haan dosto vakt bahaut hi majbut hota hain agar insaan ka vakt sahi nahi hain to vo kitna bhi haath pair mar le, kitni bhi koshish kar le uski har chaal ulti hoti hain, uski har baat duniya ko galat lagti hain aur laakh sahi hone par bhi usko galat hi samjha jata hain
but agar insaan ka vakt sahi hain to samjho sab sahi hain uski baat pathaar ki lakir hoti hain,duniya main uski tuti bolti hain aur sab usko follow karna chahte hain inspite of that vo galat hi ho.
Hum sunte bhi aye hain ki vakt bahaut bada marham hota hain jo har jakhm ko bhar deta hain aur purane se purane ghav ko hara kar deta hain . ,
Ek song bhi hain ki" vakt insaan ka aisa bhi kabhi ata hain rah mapin chod ke saya bhi chala jata hain ,din bhi nikalega kabhi raat ke ane pe na ja
means agar vakt sahi nain hain to duniya to dur ki bat hain apne bhi sath nahi deta but aisa nahi hain raat ke bad subah bhi ati hain
isiliye humein agar vakt sahi nahi hain to aisa nahi ki hum mehnat na karein. kyunki jaisa hum jante hain kam karte raho" kyuni apna time ayega"
bus humko ye dhyan rakhna chahiye ki jub vakt hamara ho to humein akad nahi dikhana chahiye,hum main ghamand nahi ana chahiye kyunki pata nahi oot kub kis karvat baithega aur jo duniya aaj humko sir aankho par baitha rahi hain vo hi humein patak bhi skati hain
so dosto bus hum sabko vakt ke sath chalna chahiye aur apne sahi time ka wait karna chahiye ,apne kaam se duniya ko jawab dena chahiye na ko apni akad se.
